urdu poe Baat nikle gi to bohat door talak jaye gi ~ Silent Poetry
+44(0) 1234 567 890 info@domainname.com

Thursday, 20 July 2017

Baat nikle gi to bohat door talak jaye gi

July 20, 2017

Share it Please




Baat nikle gi to bohat door talak jaye gi,
log bewajah udasi ka sabbab poochen ge,
yeh bhi poochen ge ke tum itni pareshan kyun ho,
jagmagate huye lamhon se gurezan kyun ho,
ungliyan uthen gi sookhe huye balon ki taraf,
ik nazar dekhen ge guzre huye salon ki taraf,
choorriyon par bhi kayi tanz kiye jayen ge,
kampte hathon par bhi fiqre kassay jayen ge
,
phir kahen ge ke hansi main bhi khafa hoti hain,
ab to ruhi ki namazen bhi qazaa hoti hain,
log zalim hain har ik baat ka taana dain ge,
baton baton main mera zikr bhi le ayen ge,
in ki baton ka zara sa bi assar mat lena,
warna chehre ke taasur se samajh jayen ge,
chahe kuch bhi ho sawalat na karna un se,
mere baaray main koi baat na karna un se,
baat nikle gi to bohat door talak jaye gi..

0 comments:

Post a Comment